Sad Status Hindi Very Heart Touching Deep Meaning sad status With images and Shayari|Emotional Sad Feeling For Boys Girls Sad hindi Status Also Enjoy sad shayari and many more sad lines
Hindi Sad Status
Aankhon Mein Aansuo Ki Lakir Ban Gayi,
Socha Nahi Tha Aisi Takdir Ban Gayi,
.
Humne To Uhi Feri Thi Ret Pe Ungliya,
Gaur Se Dekha Jaalim To Teri Tasveer Ban Gayi....
mat pucho mere dard ki inteha mujhse
ye wo samandar hai jis me jahan kho jaata hai
Laut ta hai to khud ko bhi bedard pata hai
aur apni hi pehchaan bhul jaata hai...
Sukun apne Dil ka maine kho diya..
Khud ko tanhayi ke samander me dubo diya.
Jo tha mere muskurane ki wajah...
Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya.....
Zarurat Nahi Aaj Mohabbat Ki Hame,
Kal Jab Thi Tab Use Gurur Tha!!
Hum Hi Naye The #Ishq Ke Shaher Me
Jo Na Jaan Paye, Ke Uska Ghar To
#Bewafai Ke Liye Mashoor Tha...!!
Apni To Zindagi Ki Ajeeb Kahani Hai,
Jis Cheez Ko Chaha Vo Begani Hai,
Hanste Hain To Sirf Duniya Ke Liye,
Warna in Aankhon Mein Sirf Paani Hi Paani Hai... :(
Kaise ham batayein ki ham pyar tum hi se karte hai,
Kaise ham batayein ki ham tum par hi bas marte hai.
Par ham tumse ikraar karne se darte hai,
Tere #ishq ne aise ghaav diye jo tujhe dekhe bin na bharte hai.
Aankhon mein aansu hi na bache rone ko
khoyen kya kuch bacha hi nahi khone ko
Zindagi chalte chalte jane kis daldal me fas gai,
do gaj zameen mangi vo bhi na mili sone ko....
Aankho ne na jane kab kab reh kar ansu piye
Hum to usi k liye marenge jiske liye jiye
Unke Dil me hamare liye abhi koi jagah ni hai
Par wo bhi ek din royenge hamare liye...
Pathhar noor ko benoor bana deta hai
Chote se ghav ko nasoor bana deta hai
Aadmi kab chahta hai k veh gunaho se pyar kare
Par waqt use majboor bana deta hai...
Log Puchte Hain Kyon Surkh Hain Tumhari Aankhein,,,
Hans Ke Keh Deti Hoon Raat Ko So Na Saki...
Lakh Chahoon Bhi Magar Ye Keh Na Sakoon,,,
Raat Ko Rone Ki Hasrat Thi Magar Ro Na Saki!
Aankho ko yun hi nam kar liya
Hum roye kahan the
Marne ka ek bahana tha
To hum jiye hi kahan the
Humne apni taqdeer khud likhi hai
Kisi ko puchne ka haq nahi
k tum khoye kahan the...
Zindagi me har mod par khushi nahi milti
#Mohabbat bhi ek baar kho jaye dobara nahi milti
Kuch majburiyan alag kar deti hain do premiyo ko
Varna mohabbat ke aage khuda ki bhi nahi chalti...
Ek Pal Bhi Chain Na Aaye To Kya Kru,
Har Pal Teri Yaad Sataye To Main Kya Kru,
Kehte Hain Ki Kanto Par Bhi Neend Aa Jati Hai,
Mere Ashq Mujhe Raat Bhar Jagayein To Kya Kru…. :(
Zindagi tanha hai jee rahe hain fir bhi
Pyar gunah hai kar rahe hain fir bhi...
Kaun nahi janta k pyar me ansuo ke siva kuch ni
Jaan kar bhi anjan ban rahe hain fir bhi...
gam kare bin teri zindagi se hum chale jayenge;
kabhi miloge to nazre nahi milayenge;
jis din tumhe apni galti ka ehsas hoga
us din hum kisi aur ke ho jayenge...
Bahut Udas Hai Koi Shakhs Tere Jane se,
Ho Sake To Lout aa Kisi Bahane Se,
Tu Lakh Khafa sahi magar ek Bar To Dekh,
Koi Toot Gaya hai Tere Rooth jane se...!!!
Dil ke dariya mein mohabbat ki kashti hai,..
sapno ki duniya mein yaadon ki basti hai,..
#Mohabbat ke bazaar mein chahat ka kya sauda...
wafa ki kimat se bewafai sasti hai...
Aankhon ko kabhi hum nam nahi karte
Kho jaye koi apna to gam nahi karte
Daria to hamari ankhon mein bhi behta hai
Par na jane kyon ankhon se aansu nahi behte...