Gazels In Hindi| Best Gazels Lines and Shayari Reading And Share On whatsapp
Hindi Gazels
Aur Bhi Ho Gaye Begana Wo Gaflat Karke;
Aazamaya Jo Unhein Tark-e-Mohabbat Karke;
Dil Ne Chhodaa Hai Na Chhode Tere Milne Ka Khayal;
Baaraha Dekh Liya Humne Malamat Karke;
Ruh Ne Payi Hai Takleef-e-Judai Se Nijaat;
Aapki Yaad Ko Saramaya-e-Rahat Karke;
Chhed Se Ab Wo Ye Kehte Hain Ki Sambhlo 'Hasarat';
Sabr-o-Taab-e-Dil-Beemaar Ko Garat Karke!
Copy Status
Share On Whatsapp
Phool The Baadal Bhi Tha Aur
Phool The Baadal Bhi Tha Aur Vo Haseen Soorat Bhi Thi,
Dil Mein Lekin Aur Hi Ek Shakal Kee Hasrat Bhi Thi;
Jo Hawa Mein Ghar Banaye Kaash Koi Dekhta,
Dasht Mein Rehte The Par Taameer Kee Aadat Bhi Thi;
Keh Geya Main Samane Us Ke Jo Dil Ka Mudda,
Kuch To Mausam Bhi Ajab Tha Kuch Meri Himmat Bhi Thi;
Ajanabi Sheharon Mein Rehte Umr Saari Kat Gayi,
Go Zara Se Fansale Par Ghar Kee Har Rahat Bhi Thi;
Kya Qayamat Hai 'Munir' Ab Yaad Bhi Aate Nahi,
Vo Purane Aashna Jin Se Humein Ulfat Bhi Thi!
Phool The Baadal Bhi Tha Aur
Phool The Baadal Bhi Tha Aur Vo Haseen Soorat Bhi Thi,
Dil Mein Lekin Aur Hi Ek Shakal Kee Hasrat Bhi Thi
Jo Hawa Mein Ghar Banaye Kaash Koi Dekhta,
Dasht Mein Rehte The Par Taameer Kee Aadat Bhi Thi
Keh Geya Main Samane Us Ke Jo Dil Ka Mudda,
Kuch To Mausam Bhi Ajab Tha Kuch Meri Himmat Bhi Thi
Ajanabi Sheharon Mein Rehte Umr Saari Kat Gayi,
Go Zara Se Fansale Par Ghar Kee Har Rahat Bhi Thi
Kya Qayamat Hai Munir Ab Yaad Bhi Aate Nahi,
Vo Purane Aashna Jin Se Humein Ulfat Bhi Thi! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Yun Hi Si Ek Baat Thi, Us Ka Malal Kya Karein,
Meer-e-Kharaab Haal Sa Apna Bhi Haal, Kya Karein;
Aisi Fiza Ke Qahar Mein Aisi Hawa Ke Zehar Mein,
Zinda Hain Aise Shehar Mein Aur Kamaal Kya Karein;
Aur Bahut See Ulajhane Tuk-o-Ras Se Badh Ke Hain,
Zikr-e-Zamal Kya Kare, Fikr-e-Visaal Kya Karein;
Dhoondh Liye Hain Charagar Humne Diyar-e-Gair Mein,
Ghar Mein Hamara Kaun Hai, Ghar Ka Khyal Kya Karein;
Chunte Hai Dil Kee Kirachiyan Bikhari Hain Jo Yahan-Vahan,
Hona Tha Ek Din Yahi, Ranj-Maal Kya Karein;
Uski Nazar Mein Qaid Hain Apni Tamaam Muntakin,
Tek-e-Khyaal Kya Karein, Harf Kee Dhaal Kya Karein!
Yun Hi Si Ek Baat Thi, Us Ka Malal Kya Karein,
Meer-e-Kharaab Haal Sa Apna Bhi Haal, Kya Karein
Aisi Fiza Ke Qahar Mein Aisi Hawa Ke Zehar Mein,
Zinda Hain Aise Shehar Mein Aur Kamaal Kya Karein
Aur Bahut See Ulajhane Tuk-o-Ras Se Badh Ke Hain,
Zikr-e-Zamal Kya Kare, Fikr-e-Visaal Kya Karein
Dhoondh Liye Hain Charagar Humne Diyar-e-Gair Mein,
Ghar Mein Hamara Kaun Hai, Ghar Ka Khyal Kya Karein
Chunte Hai Dil Kee Kirachiyan Bikhari Hain Jo Yahan-Vahan,
Hona Tha Ek Din Yahi, Ranj-Maal Kya Karein
Uski Nazar Mein Qaid Hain Apni Tamaam Muntakin,
Tek-e-Khyaal Kya Karein, Harf Kee Dhaal Kya Karein! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Apni Tanhayi Mere Naam Pe Abaad Kare,
Kaun Ho Ga Jo Mujhe Uss Ki Tarah Yaad Kare,
Dil Ajab Sheher Ke Jis Pr Bhi Khula Dar Us Ka,
Woh Musaafir Isse Har Samt Se Barbaad Kare,
Apne Qaatil Ki Zehaanat Se Pareshaan Hoon Main,
Roz Ik Maut Naye Tarzz Ki Ijaad Kare,
Itna Hairaan Ho Meri Be-Talabbi Ke Aagey,
Waa Qaffass Main Koi Dar Khud Mera Sayaad Kare,
Salb-E-Binaayi Ke Ehkaam Mile Hain Jo Kabhi,
Roshni Chhuune Ki Khawhish Koi Shab-Zaad Kare,
Soch Rakhnaa Bhi Jaraayem Main Hai Shaamil Ab To,
Wohi Maasoom Hai Har Baat Pe Jo Saad Kare,
Jab Lahuu Bol Parre Us Ke Gavaahon Ke Khilaaf,
Qaazi-E-Sheher Kuch Is Baab Main Irshaad Kare,
Uss Ki Muthi Main Bohat Roz Raha Mera Wajood,
Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Aazaad Kare!

Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Aazaad Kare! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Wo Khafa Hain To Koi Baat Nahi,
Ishq Mohtaaj-e-Iltfhaq Nahi;
Dil Bujha Ho Agar To Din Bhi Hai Raat Nahi,
Din Ho Roshan To Raat Raat Nahi;
Dil-e-Saaki Main Todu-e-Vaail,
Ja Mujhe Khwahish-e-Najaat Nahi;
Aisi Bhuli Hai Qaynaat Mujhe,
Jaise Main Jisb-e-Qaynaat Nahi;
Peer Kee Basti Ja Rahi Hai Magar,
Sabko Ye Veham Hai Ki Raat Nahi;
Mere Layak Nahi Hayaat 'Khumar';
Aur Main Layak-e-Hayaat Nah!
Wo Khafa Hain To Koi Baat Nahi,
Ishq Mohtaaj-e-Iltfhaq Nahi
Dil Bujha Ho Agar To Din Bhi Hai Raat Nahi,
Din Ho Roshan To Raat Raat Nahi
Dil-e-Saaki Main Todu-e-Vaail,
Ja Mujhe Khwahish-e-Najaat Nahi
Aisi Bhuli Hai Qaynaat Mujhe,
Jaise Main Jisb-e-Qaynaat Nahi
Peer Kee Basti Ja Rahi Hai Magar,
Sabko Ye Veham Hai Ki Raat Nahi
Mere Layak Nahi Hayaat Khumar
Aur Main Layak-e-Hayaat Nah! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Kyon Phir Rahe Ho Kaif Ye Khatre Ka Ghar Liye,
Ye Kaanch Ka Shareer Ye Kaagaz Ka Sar Liye;
Sholey Nikal Rahe Hain Gulabon Ke Jism Se,
Titali Na Ja Kareeb Ye Resham Ke Par Liye;
Jaane Bahaar Naam Hai Lekin Ye Kaam Hai,
Kaliyan Taraash Lee To Kabhi Gul Qatar Liye;
Ranjhaa Bane Hain, Kais Bane, Kohakan Bane,
Humne Kisi Ke Vaaste Sab Roop Dhar Liye;
Na Meharabane Shehar Ne Thukra Diya Mujhe,
Main Phir Raha Hun Apna Makaan Dar-B-Dar Liye!
Kyon Phir Rahe Ho Kaif Ye Khatre Ka Ghar Liye,
Ye Kaanch Ka Shareer Ye Kaagaz Ka Sar Liye
Sholey Nikal Rahe Hain Gulabon Ke Jism Se,
Titali Na Ja Kareeb Ye Resham Ke Par Liye
Jaane Bahaar Naam Hai Lekin Ye Kaam Hai,
Kaliyan Taraash Lee To Kabhi Gul Qatar Liye
Ranjhaa Bane Hain, Kais Bane, Kohakan Bane,
Humne Kisi Ke Vaaste Sab Roop Dhar Liye
Na Meharabane Shehar Ne Thukra Diya Mujhe,
Main Phir Raha Hun Apna Makaan Dar-B-Dar Liye! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Koi Samajhaiye Ki Kya Rang Hai Maikhane Ka,
Aankh Saqi Ke Uthe, Naam Ho Paimane Ka;
Garmi-e-Shama Ka Afsana Sunane Walo,
Raqs Dekha Nahi Tum Ne Abhi Parwane Ka;
Chashm-e-Saqi Mujhe Har Gham Pe Yaad Aati Hai,
Raasta Bhool Na Jaun Kahin Maikhane Ka;
Ab To Har Sham Guzarti Hai Isi Kuche Mein,
Ye Nateeza Hua Naseh Tere Samajhane Ka;
Ab To Har Manzil Se Guzarna To Hai Aasan 'Iqbal',
Ishq Hai Naam Khud Apne Se Guzar Jane Ka!
Koi Samajhaiye Ki Kya Rang Hai Maikhane Ka,
Aankh Saqi Ke Uthe, Naam Ho Paimane Ka
Garmi-e-Shama Ka Afsana Sunane Walo,
Raqs Dekha Nahi Tum Ne Abhi Parwane Ka
Chashm-e-Saqi Mujhe Har Gham Pe Yaad Aati Hai,
Raasta Bhool Na Jaun Kahin Maikhane Ka
Ab To Har Sham Guzarti Hai Isi Kuche Mein,
Ye Nateeza Hua Naseh Tere Samajhane Ka
Ab To Har Manzil Se Guzarna To Hai Aasan Iqbal,
Ishq Hai Naam Khud Apne Se Guzar Jane Ka! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Chand Tahniyon Ke Kafan Pe, Syahi Ki Kaalikh Mal Dete Hain,
Khyaal "Raaz" Ke Bejeaa, Kyon Bezubaan Ki Laash Masal Dete Hain;
Daur-O-Jaam Ki Mehfilon Mein, Saagaro Minaa Tak Hain Sab Aziz,
Ashk Chalkein To Hum Sharminda, Woh Sar Jhatakte Hain, Chal Dete Hain;
Ghamgusaari To Ki Aksar, Sochta Hun Ki Chand Pareshaniyan Meri Bhi To Hain,
Hazi, Qazi, Niyazi Koi Ho, Kuch To Aise Milao Jo 'Hal' Dete Hain;
Nekdili, Saafgoi, Dayanat Ke Sab Jazbon Ko Kitabon Mein Hi Rehne Den,
Tazurba Hai, Bargalate Hain Aalim Kehkar, Ki Inka Farishte 'Fal' Dete Hain;
Ye Jalwa-E-Husn, Ye Chamak, Ye Nazare Jahan Ke, "Raaz" Ke Vaaste Na Bhi Sahi,
Itna To Humein Bhi Myssar, Maula Maula Kehte Bhi Khyaal To Machal Dete Hain!
Chand Tahniyon Ke Kafan Pe, Syahi Ki Kaalikh Mal Dete Hain,
Khyaal Raaz Ke Bejeaa, Kyon Bezubaan Ki Laash Masal Dete Hain
Daur-O-Jaam Ki Mehfilon Mein, Saagaro Minaa Tak Hain Sab Aziz,
Ashk Chalkein To Hum Sharminda, Woh Sar Jhatakte Hain, Chal Dete Hain
Ghamgusaari To Ki Aksar, Sochta Hun Ki Chand Pareshaniyan Meri Bhi To Hain,
Hazi, Qazi, Niyazi Koi Ho, Kuch To Aise Milao Jo Hal Dete Hain
Nekdili, Saafgoi, Dayanat Ke Sab Jazbon Ko Kitabon Mein Hi Rehne Den,
Tazurba Hai, Bargalate Hain Aalim Kehkar, Ki Inka Farishte Fal Dete Hain
Ye Jalwa-E-Husn, Ye Chamak, Ye Nazare Jahan Ke, Raaz Ke Vaaste Na Bhi Sahi,
Itna To Humein Bhi Myssar, Maula Maula Kehte Bhi Khyaal To Machal Dete Hain! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Tamanaaon Main Uljhaaya Geya Hoon,
Khilone De Ke Behlaaya Geya Hoon;
Hoon Iss Kuuche Ke Har Zaray Se Waqif,
Idhar Se Mudatton Aaya Geya Hoon;
Nahin Uthte Qadam Kyun Jaanib-E-Dair,
Kisi Masjid Main Behkaaya Geya Hoon;
Dil-E-Muztar Se Pooch Ae Raunak-E-Bazm,
Main Khud Aaya Nahin Laaya Geya Hoon;
Savera Hai Bohat Ae Shor-E-Mehshar,
Abhi Bekaar Uthvaaya Geya Hoon;
Sataya Aa Ke Pehron Aarzuu Ne,
Jo Dum Bhar Aap Main Paaya Geya Hoon;
Kuja Main Aur Kuja Ae Shad Duniya,
Kahan Se Kis Jagah Laaya Geya Hoon!
Tamanaaon Main Uljhaaya Geya Hoon,
Khilone De Ke Behlaaya Geya Hoon
Hoon Iss Kuuche Ke Har Zaray Se Waqif,
Idhar Se Mudatton Aaya Geya Hoon
Nahin Uthte Qadam Kyun Jaanib-E-Dair,
Kisi Masjid Main Behkaaya Geya Hoon
Dil-E-Muztar Se Pooch Ae Raunak-E-Bazm,
Main Khud Aaya Nahin Laaya Geya Hoon
Savera Hai Bohat Ae Shor-E-Mehshar,
Abhi Bekaar Uthvaaya Geya Hoon
Sataya Aa Ke Pehron Aarzuu Ne,
Jo Dum Bhar Aap Main Paaya Geya Hoon
Kuja Main Aur Kuja Ae Shad Duniya,
Kahan Se Kis Jagah Laaya Geya Hoon! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Unhe Sawal Hi Lagata Hai Mera Rona Bhi,
Ajab Saza Hai Jahaan Mein Gareeb Hona Bhi;
Ye Raat Bhi Hai Odhana-Bichona Bhi,
Is Ek Raat Mein Hai Jaagna Bhi Sona Bhi;
Ajeeb Shehar Hai Ki Ghar Bhi Raaston Kee Tarah,
Kaisa Naseeb Hai Raaton Ko Chup Ke Rona Bhi;
Khule Mein Soyenge Motiya Ke Phoolon Se,
Sajaa Lo Zulf Basa Lo Zara Bichona Bhi;
'Aziz' Kaisi Yeh Saudagaron Kee Basti Hai,
Garaan Hai Dil Se Yahan Kaath Ka Khilona Bhi!
Unhe Sawal Hi Lagata Hai Mera Rona Bhi,
Ajab Saza Hai Jahaan Mein Gareeb Hona Bhi
Ye Raat Bhi Hai Odhana-Bichona Bhi,
Is Ek Raat Mein Hai Jaagna Bhi Sona Bhi
Ajeeb Shehar Hai Ki Ghar Bhi Raaston Kee Tarah,
Kaisa Naseeb Hai Raaton Ko Chup Ke Rona Bhi
Khule Mein Soyenge Motiya Ke Phoolon Se,
Sajaa Lo Zulf Basa Lo Zara Bichona Bhi
Aziz Kaisi Yeh Saudagaron Kee Basti Hai,
Garaan Hai Dil Se Yahan Kaath Ka Khilona Bhi! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Gul Tera Rang Churaa Laye Hain Gulzaron Mein,
Jal Raha Hun Bhari Barsaat Kee Baucharon Mein;
Mujhse Katra Ke Nikal Ja, Magar Ai Jaan-e-Haya,
Dil Kee Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaron Mein;
v Husn-e-Begana-e-Ehsaas-Jamaal Achhaa Hai,
Gunche Khilate Hain To Bik Jaate Hain Bazaaron Mein;
Jikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unvaan-e-Jafaa,
Charagar Phool Piro Laye Hain Talwaron Mein;
Zakham Chhup Sakte Hain Lekin Mujhe Fan Hi Saugandh,
Gham Kee Daulat Bhi Hai Shaamil Mere Shahkaron Mein;
Mujhko Nafarat Se Nahi Pyaar Se Masloob Karo,
Main To Shaamil Hun Mohabbat Ke Gunahwaron Mein!
Gul Tera Rang Churaa Laye Hain Gulzaron Mein,
Jal Raha Hun Bhari Barsaat Kee Baucharon Mein
Mujhse Katra Ke Nikal Ja, Magar Ai Jaan-e-Haya,
Dil Kee Lau Dekh Raha Hun Tere Rukhsaron Mein
v Husn-e-Begana-e-Ehsaas-Jamaal Achhaa Hai,
Gunche Khilate Hain To Bik Jaate Hain Bazaaron Mein
Jikr Karte Hain Tera Mujhse Ba-Unvaan-e-Jafaa,
Charagar Phool Piro Laye Hain Talwaron Mein
Zakham Chhup Sakte Hain Lekin Mujhe Fan Hi Saugandh,
Gham Kee Daulat Bhi Hai Shaamil Mere Shahkaron Mein
Mujhko Nafarat Se Nahi Pyaar Se Masloob Karo,
Main To Shaamil Hun Mohabbat Ke Gunahwaron Mein! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Hijr Kee Shab Mein Qaid Kare Yaa Subh-e-Visal Mein Rakhe,
Achha Maula Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhe;
Khel Ye Kaisaa Khel Rahi Hai Dil Se Teri Mohabbat,
Ik Pal Kee Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe;
Maine Sari Khushbuein Aanchal Se Baandh Ke Rakhi,
Shayad In Ka Jikr Tu Apne Kisi Sawal Mein Rakhe;
Kis Se Tere Aane Kee Sargoshi Ko Sunte Hi,
Maine Kitne Phool Chune Aur Apni Shaal Mein Rakhe;
Mushkil Ban Kar Toot Padi Hai Dil Par Ye Tanhayi,
Ab Jaane Ye Kab Tak Us Ko Apne Jaal Mein Rakhe
Hijr Kee Shab Mein Qaid Kare Yaa Subh-e-Visal Mein Rakhe,
Achha Maula Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhe
Khel Ye Kaisaa Khel Rahi Hai Dil Se Teri Mohabbat,
Ik Pal Kee Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe
Maine Sari Khushbuein Aanchal Se Baandh Ke Rakhi,
Shayad In Ka Jikr Tu Apne Kisi Sawal Mein Rakhe
Kis Se Tere Aane Kee Sargoshi Ko Sunte Hi,
Maine Kitne Phool Chune Aur Apni Shaal Mein Rakhe
Mushkil Ban Kar Toot Padi Hai Dil Par Ye Tanhayi,
Ab Jaane Ye Kab Tak Us Ko Apne Jaal Mein Rakhe >
Copy Status
Share On Whatsapp
Uljhe Na Zulf Se Jo Pareshaniyon Mein Hum,
Karte Hain Is Pe Naaz Ada-Daniyon Mein Hum;
Saragarm-Raqs-Tazaa Hain Kurbaniyon Mein Hum,
Shokhi Se Kiski Aaye Hain Jolaniyon Mein Hum;
Sabit Hai Jurme-Shikwa Na Zahir Gunahe-Rashq,
Hairan Hain Aap Apni Pareshaniyon Mein Hum;
Maare Khushi Ke Mar Gaye Subahe-Shabe-Firaaq,
Kitne Subuk Hue Hain Garaan-Jaaniyon Mein Hum;
Aata Hai Khwaab Mein Bhi Teri Zulf Ka Khyaal,
Betaur Ghir Gaye Hain Pareshaniyon Mein Hum;
Dekha Idhar Ko Tune Ki Bas Dam Nikal Geya,
Utare Nazar Se Apni Nigahabaniyon Mein Hum!
Uljhe Na Zulf Se Jo Pareshaniyon Mein Hum,
Karte Hain Is Pe Naaz Ada-Daniyon Mein Hum
Saragarm-Raqs-Tazaa Hain Kurbaniyon Mein Hum,
Shokhi Se Kiski Aaye Hain Jolaniyon Mein Hum
Sabit Hai Jurme-Shikwa Na Zahir Gunahe-Rashq,
Hairan Hain Aap Apni Pareshaniyon Mein Hum
Maare Khushi Ke Mar Gaye Subahe-Shabe-Firaaq,
Kitne Subuk Hue Hain Garaan-Jaaniyon Mein Hum
Aata Hai Khwaab Mein Bhi Teri Zulf Ka Khyaal,
Betaur Ghir Gaye Hain Pareshaniyon Mein Hum
Dekha Idhar Ko Tune Ki Bas Dam Nikal Geya,
Utare Nazar Se Apni Nigahabaniyon Mein Hum! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Din Muradon Ke Aish Kee Raatein,
Haye Kya Ho Gayi Wo Barsaatein;
Raat Ko Baag Mein Mulaqaatein,
Yaad Hain Jaise Khwaab Kee Baatein;
Hasratein Sard Aahein Garm Aansu,
Layi Hai Barshagaal Saugatein;
Khwar Hain Yun Mere Shabaab Ke Din,
Jaise Jaadon Kee Chandni Raatein;
Dil Ye Kehta Hai Kunj-e-Raahat Hun,
Dekhna Gham-Naseeb Kee Baatein;
v Jin Ke Dam Se Shabaab Tha Zinda,
Hai 'Akhtar' Wo Ishq Kee Ghaatein!
Din Muradon Ke Aish Kee Raatein,
Haye Kya Ho Gayi Wo Barsaatein
Raat Ko Baag Mein Mulaqaatein,
Yaad Hain Jaise Khwaab Kee Baatein
Hasratein Sard Aahein Garm Aansu,
Layi Hai Barshagaal Saugatein
Khwar Hain Yun Mere Shabaab Ke Din,
Jaise Jaadon Kee Chandni Raatein
Dil Ye Kehta Hai Kunj-e-Raahat Hun,
Dekhna Gham-Naseeb Kee Baatein
v Jin Ke Dam Se Shabaab Tha Zinda,
Hai Akhtar Wo Ishq Kee Ghaatein! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam Hui,
Haseen Subah Hui Aur Haseen Shaam Hui;
Baqaar-e-Ishq Bas Ab Sar Jhuka De Kadamon Par,
Udhar Se Tere Liye Sabaqat-e-Salaam Hui;
Har Ek Apni Jagah Khush Har Ek Yahi Samajha,
Nigah-e-Khaas B-Tarz-e-Nigaah-e-Aam Hui;
Nazar Mili To Tabassum Raha Khamoshi Par,
Nazar Phiri To Zara Himmat-e-Kalaam Hui;
Bas Ab To Tum Ne Mohabbat Ka Le Liya Badla,
Maaf Karna Jo Takleef-e-Inteqam Hui;
Hai Dekhne Hi Ka Waqfa Jise Samajhte Hain,
'Raza' Wo Dhoop Chadhi Din Dhala Wo Shaam Hui!
Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam Hui,
Haseen Subah Hui Aur Haseen Shaam Hui
Baqaar-e-Ishq Bas Ab Sar Jhuka De Kadamon Par,
Udhar Se Tere Liye Sabaqat-e-Salaam Hui
Har Ek Apni Jagah Khush Har Ek Yahi Samajha,
Nigah-e-Khaas B-Tarz-e-Nigaah-e-Aam Hui
Nazar Mili To Tabassum Raha Khamoshi Par,
Nazar Phiri To Zara Himmat-e-Kalaam Hui
Bas Ab To Tum Ne Mohabbat Ka Le Liya Badla,
Maaf Karna Jo Takleef-e-Inteqam Hui
Hai Dekhne Hi Ka Waqfa Jise Samajhte Hain,
Raza Wo Dhoop Chadhi Din Dhala Wo Shaam Hui! >
Copy Status
Share On Whatsapp
Hindi Status
Punjabi Status
Video status