Gazels In Hindi| Best Gazels Lines and Shayari Reading And Share On whatsapp

Gazels Shayari
Hindi Gazels


Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai;
Main Chalta Hun Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rahta Hai;
Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai;
Humein To Jis Ne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai;

Mohabbat Mein Jo Doobaa Ho Use Sahil Se Kya Lena;
Kise Is Bahaar Mein Ja Kar Kinara Yaad Rehta Hai;

Bahut Leharon Ko Pakda Doobane Wale Ke Haathon Ne;
Yahi Bas Ek Dariya Ka Nazara Yaad Rehta Hai;

Sadayein Ek Si Yaksaniyat Mein Doob Jati Hain;
Zara Sa Mukhtalif Jis Ne Pukara Yaad Rehta Hai;

Main Kis Tezi Se Zinda Hun Main Ye To Bhool Jata Hun;
Nahi Aanaa Hai Duniya Mein Dobaraa Yaad Rehta Hai!

Share On Whatsapp


Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To Hai;
Phir Bhi Ahl-e-Dil Ko Ahval-e-Bashar Kehna To Hai;

Khoon-e-Adaa Se Na Ho Khoon-e-Shahidaan Se Hi Ho;
Kuch Na Kuch Is Daur Mein Rang-e-Chaman Nikhra To Hai;

Apni Ghairat Bech Daalen Apna Maslak Chhod Den;
Rehnumaon Mein Bhi Kuch Logon Ka Ye Mansha To Hai;

Bhuj Rahe Hain Ek Ek Kar Ke Aqidon Ke Diye;
Is Andhere Ka Bhi Lekin Saamna Karna To Hai;

Juth Kyon Bole Farogh-E-Maslahat Ke Naam Par;
Zindagi Pyari Sahi Lekin Humein Marna To Hai!

Share On Whatsapp


Mujhse Milne Ke Wo

Mujhse Milne Ke Wo Karta Thaa Bahane Kitne,
Ab Guzarega Mere Saath Zamaane Kitne;

Main Gira Tha To Bahut Log Ruke The Lekin,
Sochta Hun Mujhe Aaye The Uthane Kitne;

Jis Tarah Maine Tujhe Apna Bana Rakha Hai,
Sochte Honge Yahi Baat Na Jaane Kitne;

Tum Naya Zakham Lagao Tumhein Is Se Kya Hai,
Bharne Wale Hain Abhi Zakham Purane Kitne!

Share On Whatsapp


Jahan Katre Ko Tarsaya Geya Hun;
Wahin Dooba Hua Paya Geya Hun;

Ba-Haal-e-Gham-Rahi Paya Geya Hun;
Haram Se Deir Mein Laya Geya Hun;

Balaa Kaafi Na Thi Ek Zindagi Kee;
Dobara Yaad Pharmaya Geya Hun;

Ba-Rang-e-Lala-e-Veerana Bekaar;
Khilaya Aur Murjhaya Geya Hun;

Agarche Abr-e-Gauhar-Baar Hun Main;
Magar Aankhon Se Barsaya Geya Hun;

'Hafeez' Ahal-e-Zubaan Kab Maante The;
Bade Zoron Se Manvaya Geya Hun!!

Share On Whatsapp


Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe;
Zindagi Ne Maut Ke Qabil Nahi Samjha Mujhe;

Zindagi Maankar Chalati Rahi Ghoda Mujhe;
Har Kadam Par Maarti Hai Ek Naya Koda Mujhe;

Zindagi Har Waqt Meri Peeth Par Baithi Rahi;
Apni Marzi Ke Mutabiq Har Taraf Moda Mujhe;


Is Tarah Apno Ke Ehsaan Hai Mujh Par Bahut;
Chot De Kar Dil Ko Sheeshe Ki Tarah Joda Mujhe;

He Zindagi Meri Tujhse Iltiza Itni Hai Bus;
Chodhkar Nafrat Ki Bhasha Pyar De Thoda Mujhe;

Warna Ek Din Jalti Hui Aag Se Bolegi Meri Laash Yoon;
Zindagi Ne Aag Ke Dariya Me Laa Chhoda Mujhe!

Share On Whatsapp


Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya;
Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya;

Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai;
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya;

Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila;
Manzil-e-Ishq Mein Har Ghum Pe Rona Aaya;

Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagari;
Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya;
Jab Hua Zikar Zamane Mein Mohabbat Ka "Shakeel";

Mujh Ko Apne Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya!

Share On Whatsapp


Wahi Aankhon Mein Aur Aankhon Se Poshidaa Bhi Rehta Hai;
Meri Yaadon Mein Ek Bhula Hua Chehra Bhi Rehta Hai;

Jab Us Kee Sard-Mehari Dekhta Hun Bujhne Lagta Hun;
Mujhe Apni Adakari Ka Andaza Bhi Rehta Hai;

Main Un Se Bhi Mila Karta Hun Jin Se Dil Nahi Milta;
Magar Khud Se Bichhad Jane Ka Andesha Bhi Rehta Hai;

Jo Mumkin Ho To Pur-Asraar Duniyaon Mein Dakhil Ho;
Ki Har Deewar Mein Ek Chor Darwaza Bhi Rehta Hai;

Bas Apni Be-Basi Kee Saatvi Manzil Mein Zinda Hun;
Yahan Par Aag Bhi Rehti Hai Aur Nauha Bhi Rehta Hai!

Share On Whatsapp


Haath Khaali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate;
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate;

Ab To Har Haath Ka Pathar Humnein Pahunchta Hai;
Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate;

Ab Ke Mayus Hua Yaaron Ko Rukhsat Karke;
Ja Rahe The To Koi Zakham Lagate Jaate;

Reengne Kee Bhi Izazat Nahi Hum Ko Warna;
Hum Jidhar Jaate Naye Phool Khilate Jaate;

Main To Jalte Hue Sehraon Ka Ek Pathar Tha;
Tum To Dariya The Meri Pyaas Bujhate Jaate;

Hum Se Pehle Bhi Musafir Kayi Guzre Honge;
Kam Se Kam Raah Ke Pathar To Hatate Jaate!

Share On Whatsapp


Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai;
Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai;

Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj;
Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai;

Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko;
To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai;

Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai, Aksar;
Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai!

Share On Whatsapp

Rukne Ka Samay Guzar Geya Hai;
Jana Tera Ab Thehar Geya Hai;

Rukhsat Kee Ghadi Khadi Hai Sar Par;
Dil Koi Do-Neem Kar Geya Hai;

Maatam Kee Fazaa Hai Shehar-e-Dil Mein;
Mujh Mein Koi Shakhs Mar Geya Hai;

Bujhne Ko Hai Phir Se Chashm-e-Nargis;
Phir Khwaab-e-Sabaa Bikhar Geya Hai;

Bas Ek Nigaah Kee Thi Us Ne;

Share On Whatsapp


Wo Bulayein To Kya Tamasha Ho;
Hum Na Jaayein To Kya Tamasha Ho;

Ye Kinaron Se Khelne Wale;
Doob Jaayein To Kya Tamasha Ho;

Banda Parwar Jo Hum Pe Guzari Hai;
Hum Batayein To Kya Tamasha Ho;

Aaj Hum Bhi Teri Wafaon Par;
Muskurayein To Kya Tamasha Ho;

Teri Soorat Jo Itefaaq Se Hum;
Bhool Jaayein To Kya Tamasha Ho;

Waqt Kee Chand Satein 'Saghar';
Laut Aayein To Kya Tamasha Ho!

Share On Whatsapp


Kuch Aarazi Ujale Bachaye Hue Hain Log;
Mutthi Mein Juganuon Ko Chupaye Hue Hain Log;

Us Shakhs Ko To Qatal Hue Der Ho Gayi;
Ab Kis Liye Ye Bheed Lagaye Hue Hain Log;

Barason Purane Dard Na Athkheliyan Karen;
Ab To Naye Ghamon Ke Sataye Hue Hain Log;

Aankhein Ujad Chuki Hain Magar Rang Rang Ke;
Khwabon Kee Ab Bhi Fasal Lagaye Hue Hain Log;

Kya Reh Geya Hai Shehar Mein Khandaraat Ke Siva;
Kya Dekhne Ko Ab Yahan Aaye Hue Hain Log;

Kuch Din Se Be-Dimagi-e-'Azahar' Hai Rang Par;
Basti Mein Us Ko 'Meer' Banaye Hue Hain Log!

Share On Whatsapp


Na Ho Yaa Rabb Aisi Tabiyat Kisi Kee,
Ki Hans Hans Ke Dekhe Museebat Kisi Kee;

Jafaa Un Se Mujh Se Wafa Kaise Chhute,
Ye Sach Hai Nahi Chhutati Aadat Kisi Kee;

Achhoota Jo Gham Ho To Is Mein Bhi Khush Hun,
Nahi Mujh Ko Manzoor Shirkat Kisi Kee;

Haseeno Kee Dono Adayein Hain Dil-Bar,
Kisi Kee Haya To Shararat Kisi Kee;

Mujhe Gum-Shuda Dil Ka Gham Hai To Ye Hai,
Ke Is Mein Bhari Thi Mohabbat Kisi Kee;

Bahut Roye Hum Yaad Mein Apne Dil Kee,
Jahan Dekhi Nanhi Si Turbat Kisi Kee!

Share On Whatsapp

Yahi Nahi Koi Toofan Meri Talash Mein Hai;
Ki Mausam-e-Gham-e-Jaana Meri Talash Mein Hai;

Visal-Rutt Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai;
Sitara-e-Shab-e-Hijran Meri Talash Mein Hai;

Main Fainsle Kee Ghadi Se Guzar Chuki Hun Magar;
Kisi Ka Deeda-e-Hairan Meri Talash Mein Hai;

Ye Be-Yaqeen See Aasoodgi Batati Hai;
Ki Ek Qarya-e-Veeran Meri Talash Mein Hai;

Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ek Kahani Hun;
Mui Charaag Saar Unvan Meri Talash Mein Hai;

Ye Kaisa Khwab Tha Dhdaka Sa Lag Geya Dil Ko;
Ki Ek Shakhs Pareshan Meri Talash Mein Hai!
Tere Sheher Teri Soch Se Nikal Jaungi;
Kisi Udaas Sham Mein Dhal Jaungi;

Tu Jo Mukar Geya Hai Har Baat Se Apni;
Dekh Lena Ek Din Main Bhi Badal Jaungi;

Mat Dikha Mujh Ko Apna Ye Masoom Chehra;
Jab Ki Tu Janta Hai Main Pighal Jaungi;

Chahe Laakh Tadpun Tere Intezar Mein;
Mat Lout Ke Aana Main Sambhal Jaungi;

Tera Hona Itna Zaroori To Nahi Hai;
Main To Yaadon Ke Khilauno Se Behel Jaungi!

Share On Whatsapp


Tum Door Ho To Pyaar Ka Mausam Na Aayega;
Ab Ke Baras Bahaar Ka Mausam Na Aayega;

Chumunga Kis Kee Zulf Ghataon Ko Dekh Kar;
Ik Jurm-e-Khush-Gawar Ka Mausam Na Aayega;

Chalake Sharab Barq Gire Ya Jalein Charag;
Zikr-e-Nigah-e-Yaar Ka Mausam Na Aayega;

Vaada-Khilafiyon Ko Taras Jayega Yakeen;
Raaton Ko Intezar Ka Mausam Na Aayega;

Tujh Se Bichhad Ke Zindagi Ho Jayegi Taveel;
Ehasas Ke Nikhar Ka Mausam Na Aayega!

Share On Whatsapp


Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch;
Har Waqt Mere Saath Hai Uljha Hua Sa Kuch;

Hota Hai Yun Bhi Rasta Khulta Nahi Kahin;
Jungle Sa Phail Jata Hai Khoya Hua Sa Kuch;

Sahil Kee Geeli Ret Par Bachhon Ke Khel Sa;
Har Lamha Mujh Mein Banta Bikharta Hua Sa Kuch;

Fursat Ne Aaj Ghar Ko Sajaya Kuch Is Tarah;
Har Shay Se Muskurata Hai Rota Hua Sa Kuch;

Dhundhli Si Ek Yaad Kisi Qabar Ka Diya;
Aur Mere Aas-Paas Chamakta Hua Sa Kuch!

Share On Whatsapp


Mehak Utha Hai Aangan Is Khabar Se;
Wo Khushbu Laut Aayi Hai Safar Se;

Judai Ne Use Dekha Sar-e-Baam;
Dareech Par Shafaq Ke Rang Barse;

Main Is Deewar Par Chadh To Geya Tha;
Utare Kaun Ab Deewar Par Se;

Gila Hai Ek Gali Se Shehar-e-Dil Kee;
Main Ladta Phir Raha Hun Shehar Bhar Se;

Use Dekhe Zamane Bhar Ka Ye Chaand;
Hamari Chandni Chaye To Tarse;

Mere Maanan Guzra Kar Meri Jaan;
Kabhi Tu Khud Bhi Apni Rehguzar Se!

Share On Whatsapp


Vasl Kee Banti Hain In Baaton Se Tadbeerein Kahin;
Aarzuon Se Phira Karti Hain Taqdeerein Kahin;

Bezubani Tarjumane-Shauq-e-Behad Ho Na Ho;
Varna Pesh-e-Yaar Kaam Aati Hain Taqreerein Kahin;

Mit Rahi Hain Dil Se Yaadein Rozagar-e-Aish Kee;
Ab Nazar Kaahe Ko Aayengi Ye Tasveerein Kahin;

Iltifaat-e-Yaar Tha Ik Khwab-w-Aagaz-e-Wafa;
Sach Hua Karti Hain In Khwabon Kee Tabeerein Kahin;

Teri Besabri Hai 'Hasrat' Khaamkari Kee Daleel;
Giriya-e-Ushaq Mein Hoti Hain Taseerein Kahin!

Share On Whatsapp


Hum Ne Sab Sher Mein Sanware The;
Hum Se Jitne Sukhan Tumhare The;

Rang-o-Khusbhu Ke Husn-o-Khoobi Ke;
Tum Se The Jitne Istiare The;

Tere Kaul-o-Karar Se Pehle;
Apne Kuch Aur Bhi Sahare The;

Jab Wo Laal-o-Gohar Hisab Kiye;
Jo Tere Gham Ne Dil Pe Vaare The;

Mere Daaman Mein Aa Gire Saare;
Jitne Tasht-E-Falak Mein Taare The;

Umar-E-Jaaved Kee Dua Karte;
'Faiz' Itne Wo Kab Hamare The!

Share On Whatsapp


Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai;
Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai;

Hai Zauq-e-Tajalli Bhi Isi Khaak Mein Pinhan;
Gafil Tu Nira Sahib-e-Idraak Nahi Hai;

Wo Aankh Ke Hai Surma-e-Afarng Se Roshan;
Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai;

Kya Sufi O Mulla Ko Khabar Mere Junoon Kee;
Un Ka Sar-e-Daman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai;

Kab Tak Rahe Mahkumi-e-Anjum Mein Meri Khaak;
Ya Main Nahi Ya Gardish-e-Aflaak Nahi Hai;

Bijli Hun Nazar Koh O Bayaban Pe Hai Meri;
Mere Liye Shayaan Khas O Khaashak Nahi Hai;

Aalam Hai Faqat Momin-e-Janbaz Kee Meeras;
Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulak Nahi Hai!

Share On Whatsapp

Taaron Se Mera Jaam Bharo Main Nashe Mein Hun;
Ai Sakinaan-e-Khuld Suno Main Nashe Mein Hun;

Kuch Phool Khil Rahe Hain Sar-e-Shakh-e-May-Kada;
Tum Hi Zara Ye Phool Chuno Main Nashe Mein Hun;

Thehro Abhi To Subah Ka Maara Hai Zau-Phishan;
Dekho Mujhe Fareb Na Do Main Nashe Mein Hun;

Nasha To Maut Hai Gham-e-Hasti Kee Dhoop Mein;
Bikhara Ke Zulf Saath Chalo Main Nashe Mein Hun;

Mela Yun Hi Rahe Ye Sar-e-Rahguzar-e-Zeest;
Ab Jaam Saamne Hi Rakho Main Nashe Mein Hun;

Payal Chanak Rahi Hai Nigaar-e-Khayal Kee;
Kuch Ehatimaam-e-Raqs Karo Main Nashe Mein Hun;

Main Dagmaga Raha Hun Bayabaan-e-Hosh Mein;
Mere Abhi Kareeb Raho Main Nashe Mein Hun;

Hai Sirf Ek Tabasum-e-Rangeen Bahut Mujhe;
'Saghar' B-Dosh Lala-Rukhon Main Nashe Mein Hun!

Share On Whatsapp

Kuch Fainsla To Ho Ki Kidhar Jana Chahiye;
Pani Ko Ab To Sar Se Guzar Jana Chahiye;

Har Baar Aidiyon Pe Gira Hai Mera Lahoo;
Maqtal Mein Ab B-Tarz-E-Digar Jana Chahiye;

Kya Chal Sakenge Jin Ka Faqat Masla Yeh Hai;
Jaane Se Pehle Rakht-E-Safar Jana Chahiye;

Sara Jvar-Bhata Mere Dil Mein Hai Magar;
Ilzam Ye Bhi Chaand Ke Sar Jana Chahiye;

Jab Bhi Gaye Azaab-E-Dar-O-Baam Tha Wahi;
Aakhir Ko Kitni Der Se Ghar Jana Chahiye;

Tohmat Laga Ke Maa Pe Jo Dushman Se Daad Le;
Aise Sukhanfarosh Ko Mar Jana Chaahiye!

Share On Whatsapp


Hum Musaafir Yun Hi Masroof-E-Safar Jaayen Ge,
Be-Nishaan Ho Gaye Jab Shehar To Ghar Jaayen Ge;

Kis Kadar Hoga Yahan Mehr-O-Wafa Ka Maatam,
Hum Teri Yaad Se Jis Roz Utar Jaayen Ge;

Jauhri Band Kiye Jaate Hain Bazaar-E-Sukhan,
Hum Kise Bechne Almaas-O-Gauhar Jayen Ge;

Nemat-E-Zeest Ka Yeh Karz Chukega Kaise,
Laakh Ghabra Ke Yeh Kehte Hain Rahen Mar Jaayen Ge;

Shayad Apna Bhi Koi Bait Hudi-Khvan Ban Kar,
Saath Jaaye Ga Mere Yaar Jidhar Jaayen Ge;

Faiz Aate Hain Rah-E-Ishq Main Jo Sakht Maqaam,
Aane Walon Se Kaho Hum To Guzar Jaayen Ge!

Share On Whatsapp


Koi Kaanta Chubha Nahi Hota;
Dil Agar Phool Sa Nahi Hota;

Kuch To Majabooriyan Rahi Hongi;
Yun Koi Bewafa Nahi Hota;

Guftagu Un Se Roz Hoti Hai;
Muddaton Saamana Nahi Hota;

Jee Bahut Chahta Sach Bole;
Kya Karein Haunsala Nahi Hota;

Raat Ka Intezar Kaun Kare;
Aaj Kal Din Mein Kya Nahi Hota!

Share On Whatsapp


Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi;
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;

Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qaraar;
Beqarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi;

Chashm-e-Qatil Meri Dushman Thi Hamesha Lekin;
Jaise Ab Ho Gayi Qatil Kabhi Aisi To Na Thi;

Un Kee Aankhon Ne Khudaa Jaane Kiya Kya Jadoo;
Ki Tabiyat Meri Maail Kabhi Aisi To Na Thi;

Aks-e-Rukh-e-Yaar Ne Kis Se Hai Tujhe Chamakaya;
Taab Tujh Mein Maah-e-Kaamil Kabhi Aisi To Na Thi;

Kya Sabab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar;
Khoo Teri Hoor-e-Shamaail Kabhi Aisi To Na Thi!